QURBANI AUR PAKEEZGI KI ZAROORAT

Islam hi Ek Aysa Deen hai,jo Insaan ki Zindagi aur Hayat ke Har Zaviyeh ko ayse Sunehre Usoolo Aur Ahkamaat se Nawaza hai,jis Per Amal paira hone se Insaani zindagi Khush Haali,Umdah Misali aur  Sehat Mandi ke saath Guzarti hai,Jin me se Ibadat wa Aqeedat,Moasharat wa Moamalaat hain,In me Khaas kar Shareeat me Taharat wa Nazafat ka Lehaz kiya gaya hai,jis ke bare me Hadees me kaha gaya ke..الطھور نصف الایمان  Paaki Aadha Eiman hai,

(Mishakat ul Masaabeeh,Vol/1,)

Islam me Tahrat ke 2 Qisme hai,    1) Taharat e Haqeeqi    2) Taharat e Hukmi

TAHARAT E HAQEEQI :Jo Dil se Gheebat,Hasad,Keenah,Boghz,Dunya ki Mohabbat nikalne se Hasil hoti hai,Aur iska Husool ka zariyah ALLAH KE ZIKR hai,

TAHARAT HUKMI : Insaan ke Jism ke saath saath us se Wabastah  Cheezo ka bhi Paak hona hai,Yani Libas ka paak hona,Maqam ka paak hona,waghirah,insaani badan ki Taharat ke husool me Ek Wazoo jo Hadas e Asghar se wajib hota hai,jiske bare me Hadees me aya hai,ke الوضوء مفتاح الصلاۃ

Wazoo Namaz Ki Kunji hai.    (Jamiut Tirmiz,Vol/1,H,No:3),

aur Doosri Ghusl hai jo Hadas e Akbar se Wajib hota hai,jis ke bare me Quran me aya hai,

وان کنتم جنبا فاطھروا  agar tum Na Paak hoto Achi tarah Paaki Hasil karlo

( surah Maidah :6)

aur Libas ke Bare me aya hai,ke ..وثیابک فطھر  Apne Kapdo ko Khoob Paak rakho

(surah Mudassir :4)

jab Badan aur Badan se Wabastah Cheezo ke Paaki ke baare me wazeh hogaya to uske saath Mahol wa Moashrah ki Pakeezgi ke bare me bhi targheeb digayi jiske Bare me kayi Ahaadees e Shareefah warid hai,un me se ek ye ke Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Hammam me Peshab karne se mana farmaya hai

(Jamiut tirmiz,Vol/1),

to is ki tashreeh me kayi baate bayan ki gayi hai,unhi me se ek qaul ye hai,ke :Mahol wa Maqam ka Badboodar hona hai,kyu ke Hammam Ghusl Karne ka maqam hai,agar waha Peshab kiye to us se Us ki Boo saare maqam ko hi badboodar banadegi,aur Mahol per Asar hoga,aur isi Mahol ki  pakeezgi ki baat Asre Hazir ke Halaat ke lehaz se ye ke :

Jab Bandah e Momin Sunnat e Ibrahimi Ada karne keliye poore Khuloos wa Mehnat,Fuloos wa Dawlat  ko sirf Allah ki Raza ke liye Kharch karta hai,aur Qurbani ka ehtemam karta hai,aur apne zimmah ko acche andaz me poora karne keliey Janwar ko sharee ahkam ke muvafaq khareedta ha,aur Qurbani dene ke baad qurbani ke Gosht ko Rishteh daro ,Ghareebo,aur Miskeeno me Taqseem karta hai,ye saare kaam poori Aqeedat ke saath anjaam deta hai,

Magar Jab Qurbani ke janwar ke Androoni Najasat(jo janwar ke wojhdi me Gober waghirah hota hai) ko phenkne me La parwahi karta hai,jis ki wajah se har qurbani dene wale ke Ghar ke saamne ya Baazu me,Raasteh ke kinareh ya sadak ke aas paas woh Ghilazat Nazar aati hai,aur uski Boo se saara mohol bigad jata hai,aur Sehan me bahaye gaye Khoon ke Qatre Har Aaane jaane wale logo aur  Mahmano ke pairo tale raunde jate hai,aur Ghilazat ko is tarah phenk ne se saare mohalle me ek ajeeb qisam ki Bud Boo pahel jati hai,jis ki wajah se waha se Guzarne wala Qurbani dene wale ko Bura kahe baghir Nahi guzarta hai,Ab Rahi Ghairo ki baat wo to Mauqeh ki Talash me hi rahte hai,jis se wo Muslman aur islam dono ko Bura kahne me thodi kasar bhi Nahi chodte hai,

Dosto Ye Harkat zahir me choti Nazar aati hai,lekin is se Islam aur Musalman dono ki Shabeeh per Bura Asar paida karne me hamari ye Harkat kaleedi kirdar ada karegi,jab ke Islam ne to Raasteh me giri huvi Har Takleef dene wali Cheez ko Hatane ka hukm diya hai,aur Hamari ye cheeze Raasto aur sadko per dalne ya kinare per dalne ke baad hawa se udh kar Raasteh per aane se us se Har Guzarne wale ko takleef hoti hai,aur us takleef se Lazmi Taur per Allah ki Makhlooq bhi Naraz hoti hai,ayr kayi Beemariyo ke pahelne ka sabab banti hai,jis ka noqsan sabko uthana padhta hai,

Yaad Rakhen ke : Makhlooq ki Narazgi ke Saath Khaliq ki Razamandi Har giz Hasil Nahi hosakti hai,,

to ham sabko chahiye ke Qurbani ki Qurbat ke saath Mahol wa moashrah ki Taharat wa Nazafat ka bhi lehaz rakhe to is se Sabko Faidah hoga,

You might also like