SURYA NAMASKAR EK SAZISH !

Allah hi ne saare Aalamo ko banaya hai,Shajar wo Hajar ho,Ya Shams Wo Qamar Gharz ke Saari  Cheezo ko Allah ne hi Paida farmaya to Allah Khaliq huva aur saare Aalam aur Aalam me payi jane wali cheeze Makhlooq,to Makhlooq per Khaliq kI Ibadat Farz hai,jab Khaliq ki Makhlooq Ibadat kare to Isko “BANDAGI” kahte hai,aur Agar Makhlooq ek doosri Makhlooq ki Ibadat yani uske saamne jhuk jaye to usko ” SHARMINDAGI” Kahte hai,Kyu ke Khaliq wa Malik Allah hi Ibadat ke layiq hai,koi doosri Makhlooq Ibadat ke layiq Nahi hai,

kyu Allah ka Makhlooq per ye Ehsaan  hai,ke Allah ne Makhlooq ko Pida kiya Us Makhlooq me “INSAAN” Ko ASHRAF UL MAKHLOOQAT ke laqab se nawaza,aur kaha,

Aye Insaano tum apne Rab ki hi IBADAT karo kyu ke wo tum ko aur tum se pahle walo ko paida kiya hai,take tum muttaqi Banjavo        (Quran,surah Baqarah,:21)

agar Allah ki Ibadat ke Alawah Makhlooq ki ibadat kare to wo “KUFR” hoga(Nawuzubillah),aur agar Allah ke saath Allah ki Banayi huvi cheezo me se ki kisi bhi tareeqh se chahe wo zahir ho ya posheedah,taur per ibadat kare to usko ” SHIRK”kahte hai,

pahli wali cheez aur doosri cheez dono hi islam aur islami taleemat ke bilkul Khilaf hai,aur ye Eiman ki Zidd(opposite) hai,jiske karne ka kisi bhi soorat me Ek Musalman ko ijazat Nahi mil sakti hai,

to jaha tak “SURYA NAMASKAR” Ki baat hai,ye to Ghair Muslimo ki ibadat ka ek tareeqah wa Hissah hai,jo sooraj nikalne ke baad usko NAMASKAR ki shakal me Pooja karte hai,aur isko kisi Musalman ko karne ki Har giz Hargiz Ijazat nahi hai,aur ye sooraj ki pooja Ummate Mohammadiyah aur pahle wali Ummato me bhi kisi bhi zaviyeh se  ijzat Nahi hai,jaisa ke Hazrat Ibrahim(alihissalam) ne Sooraj ko Khuda maan ne se Inkar kardiya aur uske Doob jane per Makhlooq sabit kardiya,jo ke islam ke Haqqaniyat ki daleel hai,lehaza agar koi SURYA NAMASKAR kare to wo dairah e Islam se Kahrij Hojata hai,Kyu ke Aysa karna “SHIRK ” Kahlata hai,aur shirk ek Bohat bada zulm hai,jaisa ke quran me aya hai,

(Quran,Surah Luqman :13)

Baaz Musalmano ki hi shakal iktiyar karke SuryaNamaskar ko jayiz qarar dene me USKO WARZISH AUR EXCERSIZE ka naam dene ki koshish kar rahe hai,jo ke bilkul Ghalat hai,Insha Allah in logo ko bhi Allah Ghaibi Saza dunya hi me zaroor dega aur agar ye is se Na Ruke to Inki dunya aur Akhirat dono barbad hojayenge,

kyu ke Nabi e Akram (sallallahualihwasallam) ne Shirk tak lejane wali choti choti cheezo se bhi mana farmaya hai,Jaise Deewar per Taswaar lagana,Kisi ke saamne jhukna waghirah aur isi wajah se Namaz jaise Ibadat jo beemari ki halat me bhi maaf nahi hai is ko bhi Sooraj Nikalte waqt,jab Barabar Sar per ho aur Sooraj Doobte waqt mana kiya gaya hai, take shirk ki ek adna soorat se bhi musalman mahfooz rahe,jabke wazeh alfaaz me aap ne aagah bhi kardiya ke JO JIS QAUM KI MUSHABHAT KARTA HAI,WO UNHI ME KA HOJATA HAI.

(Mishkat ul Masabeeh,vol/1)

Ab to Hindustan me SURYANAMSKAR ke bare me kayi baate horahi hai,aur Baaz Schools aur Colleges me to Ye Nafiz wa jari bhi hochuka hai,Jo muslamo ke aaqayid ke khilaf sazihs hai,aur wahi per kayi badi tedad me musalman ladke aur ladkiya taleem hasil karti hai,jis ki wajah se majboori me un ko bhi ye karna padega,Jis se Unki Dunya wa Akhrat khasarah me hojati hai,to tamam Ulama har Maktab e Fikar,Qayideen,Buzrug aur saare musalman ek jut hokar Iske Nifaz aur is per Amal awari ke khilaf Qanooni karwayi kare to saari paayi jane wali aur aane wale Musalman Naslo keliye Deen ki Hifazat ka zariyah hoga,jo Sab keliye Akhirat me Najat ka zakheerah hoga.

wazeh Rahe ke Musalman Makhlooq yani Dunya ki Cheezo se sirf Mohabbat hi karta hai,jab ke Ibadat to wo Sirf Allah hi KI karta hai.

 

Aapka Mukhlis,

Rahmatullah Qadri

 

You might also like