2nd MARRIAGE AUR DOOSRA MASLAK…?

Sawal :Assalamu alaikum Wa Rahmathullahi Wa Barakatuhu..

Mufti sahab se ek sawal hai ke..
Agar koi shaks Dusri shadi Karna chahta hotho iske kya kya ehkam hai..??
Ladki agar shafai maslak se …
Aur ladka Hanafi maslak se hoto ye loge shadi karsakenge ??
Agar haa
Toh.. Shadi k baad ladki kaunsi maslak ko follow Karna chahiye??
Jazaa kallahu khair
(Mohammed Azam)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Agar Ladka Sahib e istet’at ho,aur wo doosri ladki ki zimmahdari Amanat wa Insaaf ke saath ada karsakta ho to wo doosri shadi karsakta hai,isme kisi ki ijazat ki zaroorat nahi chahiye,
Hanafi ladke ka Nikah shafayi Ladki se hosakta hai,Nikah ke Baad har koi Apne apne Mazhab per hi Amal karsakte hai,kyu ke 4 Maslak *HAQ* hain.
(Hashiya e Sharhul Wiqyaha,Vol/2)

Plz..Share it to All,For more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like