DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : KHAREED WA FAROKHT , DAY : 279,

Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) ne farmaya : Aye Cheezo ko Naapne aur Tolne walo,Tumhe ye 2 Cheeze Supurd ki gayi hain,is se pahle wale log in 2 Cheezo me kami karke Halak hogaye hain.
(Vol/1,H,No :1261),
Dars : Yani..Jin Cheezo ko Naap kar becha jata hai,aur Jin Cheezo ko tol kar becha jata hai,tajir unme kami ziyadati karta hai,to zahir me cheezo me kami aur faideh me izafah dikhta hai,magar Aakhirat me Wahi Ziyadah faidah hi ziyadah Azab ki soorat me hazir hota hai,
aur jo Barabar Cheezo ko tol aur Naap kar bechta hai,to usko Dunya aur Aakhirat dono me ye moamlah *Rahmat* banjata hai,
Lehaza Zahiri faideh ko Nahi balki Haqeeqi faideh ko dekhna chahiye.

Plz..Share it to All,For more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like