DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : AHKAAM , DAY : 280,

Hazrat ibne Buraidah,Apne Walid e Mohtaram

(raziyallahuanhuma) se rivayat karte hain,Kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Qazi ki 3 Qisme hain,Inme se 2 Jahannami aur 1 Jannati hai,
1) Wo Qazi jo Haq ko Jaante huve bhi Haq ke Baghair Faislah kare to Ye Jahannam me jayega,
2) Wo Qazi jo Haq ko to Jaanta Na ho,Phir wo Jaan ne ki koshish kiye baghair hi faislah kare,aur is se Logo ke Huqqooq halak hojaye to ye Bhi Jahannam me jayega,
3) Wo Qazi jo Haq ke zariyeh faislah karta ho to ye Jannat me Jayega.
(Vol/1,H,No :1372),
Dars :Qazi ka Matlab *Hakim*(Judge of Muslims) hai,
Is Hadees e paak me Hakim ki Sifaat ko bataya gaya hai,ke Hakim Jaan ne Wala ho,Jahil Na ho,
Haq se faislah karne wala ho,Haram se Bachta ho,Mutaqi Parhezgar ho,etc…
Ab Aksar Mulko me Islami Qazi ka Rivaj Nahi hai,Sab Jumhoori(Democracy Countries) hi hai,Jisme Islami Qazi Nahi hote hain,
Ab jahan ho to unko Islami Taleemat ke lehaz se hi Faislah karna hoga,Warna wo gunahgar honge,
■■ Ab Jo Nikah padhate hain,Unko Qazi isliye bhi kahte hai,ke Wo Nikah jaise Pakeezah kaam me Ahem kaam Anjaam dete hai,to Nikah ke Qazi saheb ko bhi in sifaat se Muttasif hona zaroori hai,Aur Nikah padhane wala Kam se Kam Aalim e Deen hona chahiye,Aur wo Shareat ka Paband hona Chahiye,Chahreh Pe Dadhi bhi hona Chahiye kyu ke Ab wo Haqeeqi Na hi sahi Magar Majazi Qazi to hai,
●● Qazi ko Baghair Tahqeeq ke kisi ka Nikah bhi Nahi padhana hai,Kyu ke Baad me Kuch Maslah Na hojaye aur Us se kahi Ghair Log Islami taleemat ka Mazaq na udane paye…Jaisake Aaj kal islami Har Baat per Media Badha Chadha kar pesh karne ki koshish karti hai,Hikamat Momin ka Hathyaar hai,
Allah hame Haq ko samajhne aur us per Amal karne ki Taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,For more Visit our Islamic Web site.anwaarulislam,com.

You might also like