9 ZULHAJJAH KE ROZEH KE SAATH ?

SAWAL :Assalamualikum,Mufti saheb,
9 Zulhajjah ke Rozeh ke saath kiya aur Rozah shamil karna hai,jaise 10 Moharram ke Rozeh me Hum Shamil karlete ?
(Mirza Ayyub Ali Baig),
Jawab :Walikumassalm wa rahmatullah..
9 Zulhajjah ka Rozah rakhna Nafil Ibadat hai,aur is Rozahe ke saath koi Aur Rozah mila kar rakhne ki Koi Rivayat Nahi hai,jaisa ke 10 Moharram ke Bare me hai,to 9 Zulhajjah ka hi rozah rakhe to uski Fazilat hasil hogi.
(Sahi Muslim shareef,Vol/1)
Haan,agar koi Zulhajjah ke Pahle din hi se 9 Tak rozeh rajhe ya 3 Din Rakhe ya 2 Di rakhe to bhi usko Nafil Rozo ka sawab milta hai,aur Yaad rahe ke Nafil Rozo ka Koi waqt Muqarrar Nahi hai,kabhi bhi Rakhle sakte hai,
Ramzan ka Mahinah aue Eid ul Fitar aur Eidul Azha ka din Chod kar…

You might also like