DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : HAJJ, DAY :187,

Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne Qurbani ke Din(10 Zulhajjah) Sawar hokar Ramee Jimar(shaitan ko Kankari Marna) farmaye.
(Vol/1,H,No :908),
Dars :Ye Shaitan ko Kankari marne ke Bare me hai,ke Sawari per ho ya Chalte huve her do soorat me Shaitan ko Kankari Marne ki ijazat hai,
Kyu ke ek Doosri rivayat me Chalte huve kankari Marna bhi sabit hai,
Lekin Bheed ki kasrat ho to Paidal chal kar Kankari Maarna ziyadah Behter hai,kyu ke is se Doosre Haajiyo ko Takleef Nahi hogi,
Haan,agar koi Zayeef ya Beemar ho to unhe Wheel Chair Istemal karne ki ijazat hai,
●● Jo Hajj karne wale agar kisi wajah se Shaitan ko Kankari Na Mare to un per Dum(ek janwar Qurbani dena) Wajib hota hai,aur iske Bohat masaayil hai,insha Allah we will explaine later…
Allah sab Hajiyo ko Himmat wa Taqat ata farma..Ameen.

You might also like