NAMAZ KE AWQAAT KI WAJAH ?

 

Sawal : Assalamualaikum mufti sahab..badi masarrat hui k ap jaise log hamari rehnumai k liye facebook ko zariya banaya..
my jaan na chahta hu k kis buniyaad per hamari namazo ka waqt chuna gaya..kya ehmiyat us waqt ki.?
mai ye apne malumaat k izafe k liye jaan na chahta hu..apse ye guzarish hai k mujhko is baat se wakif karwain !!
(mohammed nizam ahmed),
Jawab : Walikumasslam wa rahmatullah,,,
Jazakallahu khairan kaseefa,,,
Namazo ke waqt ki tayeen ke bare me ULAMA E KIRAM likhte hai,ke 5 waqt ki namazo ka waqt alahidah yani alag alag rakhne ki kayee wujoohat hai,un me se ek khaas wajah ye hai,ke in AWQAAT me ALLAH KI NAYI NAYI NEMATE NAZIL HOTI HAI,to in awqaat me ALLAH KI IBADAT karna isliye hai,ke in awqaat me bandah ki ibadat bataure KHUDA KI NEMATO ka “” SHUKR “” hojaye,,jab jab bandah in awqaat me namaze padhta hai,to Allah uskeliye apne nemato me izafah karta hai,
(Noor ul Anwaar,vol/1,pg/47),
PLZ,,read and must share it.

You might also like