NAMAZ ME MOBILE KI CHORI ?!!

Sawal:- Assalamualikum,Mufti Saheb,Khairiyat se hai aap..
Mera sawal ye hai ke.namaz me apna mobile phone samny rakh kar padty waqt agar koi choor phone choori karraha tho namaz waha tk hi rookna ya mukammil ada karna ?
(Mohammes Amer ),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,Alhamdulillah,
Namaz ke Dauran agar koi shaks Namazi ka Mobile ya aur koi Qeemti Cheez chori kar raha ho to Namazi ko chahiye ke Apne Maal ki Hifazat keliye Namaz tod kar Maal ki hifazat kare aur Namaz phir se padhe,kyu ke usme us shaks ka Personal Data hota hai,agar wo chala jaye to Usko takleef hogi,aur takleef se bachne keliye Namaz tod kar us se bachne ka Hukm diya gaya hai,jaise Saanp ya Bichoo etc..Namaz me ajaye to Unse Hifazat keliye, Namaz tod kar unko Maar ne ka hukm diya gaya hai,kyu ke us se Bandeh ko takleef pahonchti hai.
(Tirmizi,Vol/1,),
Note :Ye Zahiri Hukm hai,to agar us bandeh ke paas us mobile ya cheez ki koi ahmiyyat hi Na ho to phir wo apne taqweh ki wajah se Namaz na tode kyu ke ye uska Taqwa hai,

You might also like