EID UL AZHA SE PAHLE GHAR KO CHUNA DALNA ?

Sawal : Asslamualikum,Mufti saheb,

Baaz log kahte hai,ke Eid ul Azha(Baqar eid ) se pahle Ghar ko Choona(Paints) dalna sahi nahi hai ,aur jis se museebate aate hai,waghairah kahte hai,to kiya eid ul azha se pahle choona dalna jayiz nahi hai? is masleh me hamari rahnumayi farma kar sawab e darain hasil kare.

(Mohammed Mazhar),

Jawab: Walikumassalam wa rahmatullah,

Eid ul Azha(Baqar eid ) se pahle apne Ghar ko Chuna ya Paint karne ki ijazat hai,kyu ke chuna aur paint Apne ghar aur makan ki safayi aur pakeezgi keliye dala jata hai,to wo kabhi bhi dalwa sakte hain,isme koi haraj nahi hai,aur jo eid ul azha se pahle chuna waghirah dalne se ko sahi na kahte hai,wo sahi nahi hai,Ghalat tasawwur unke zahno me baitha huva hai,eid se pahle aur kabhi bhi safayi ke ehtemam ki islam taleem deta hai.

(Jamiut tirmizi,Vol/1,Ph/2).

You might also like