BAAP KI ZAKAT BETE KO ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Kiya Baap apne Bete ko Zakat de sakta hai ?ya nahi iska kiya hukm hai ?
(Sameer khan),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,
Baap apni Zakat Bete(Son) ko aur Beta apni Zakat apne Walid ko Nahi de sakta hai.
(Al Hidayah,Vol/2,Pg/73),
Note :Ye Log zakat ke Nahi Silah Rahmi aur Mohabbat ke Mohtaj hote hai,Zakat moqarrar hoti hai,aur inke saath jo ehsaan karna hota hai,wo moqarrar nahi hota hai.

You might also like