JANWAR KI IMAGE SE MAZAQ ?!

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,

Aaj kal Social Media me Qurbani ke Janwar ki image dal kar us per Tarah Tarah ke mazaqi ki Baate karte hai,to Kiya Islam me iski Ijazat hai ? aur iska kiya Hukm hai ?

(Mohammed Nasir),

Jawab : Walikumassala wa rahmatullah,

Qurbani ka jo Janwar ho ta hai,wo Sahib e Qurbani ki Niyyat se pahle ek Aam Janwar hota hai,lekin Jaise hi us janwar ki koi qurbani ki Niyyat karleta hai,to ab uski Ahammiyat wa Azmat badh jati hai,aur iski Ahammiyat Allah ke paas bhi hoti hai,kyu ke wo ALLAH ke Hukm Per qurban horaha hai,aur  Hadees e paak me aya hai,ke Qurbani ka Janwar Qiyamat me Uske Pairo ,Phatto,aur Baalo samet Hazir hokar Qurbani dene wali ki Bakhshish Ka zariah banega     ( Jamiut Tirmiz,VOL/1,H,NO :1572),

Hadees me qurbani ke janwar ke Aaza(parts) ka bhi zikr aya hai,to samjhe uski kiya Ahammiyat hogi,to Qurbani ke Janwar ki Mazaq wa dillagi ke Taur per Images Banana Islami Taleemat ke Khilaf hai,aur aysa karna Us Janwar ki BE HURMATI kahlati hai,jiska Gunah Mazaq karne wale aur Mazaq me saath dene wale(sms forward karke) dono Barabar ke Gunahgaar Kahlayenge,

Dosto ,Us janwar ki Izzat Musalman Nahi karega to kiya Ghair Karega…..!!!!

You might also like