VILLAGE ME QURBANI KA WAQT ?

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,

Jis Village(Gavun) me Eid Ul AZHA ki Namaz Nahi hoti hai,to waha ke logo ke Qurbani ka kiya Hukm hoga ? kiya Unko Shaher me padhi jane walil Namaz ke Hone ke baad qurbani dena hai ?

(Mohammed Saleem).

Jawab: Walikumassalam wa rahmatullah,

Jis Village(Gavun) me Eid ul Azha Ki Namaz Nahi hoti hai,to waha ke logo ko shaher(CITY) ki Namaz mukamml hone ka intezar karne ki zaroorat Nahi hai,balke Sooraj Tulu Hone ke baad hi Wo Qurbani de sakte hai.to unki Qurbani hojaygi.

(Al Hidayah,Vol/7,Pg/161),

You might also like