MOHARRAM KE MONTH ME NIKAH KA HUKM ?

Sawal:Assalamualikum,Mufti Saheb,

Kiya Moharram ke Mahineh me Nikah karsakte hai ? aur is Mahine me Nikah karne se kiya gunah hota hai ?     (Mohammed Salman),

Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,

Moharram ke Mahine me Nikah karsakte hai,aur Saal ke Kisi bhi Mahineh me Nikah karsakte hai,Nikah moharram ke mahine Me karne se hojata hai,koi Gunah Nahi hota hai,jab ke Moharram ke mahine me hi to Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) aur Hazrat Safiyyah(raziyallahuanha) ke saath Nikah huva tha,aur Hazrat Bibi Fatimah aur Hazrat Ali (Raziyallahuanhuma) ka Nikah bhi Moharram ke Mahineh me hi huva tha,aur doosre Bohat se Sahaba ka Nikah bhi Moharram ke Mahineh me hi huva tha,

(Tareekhe Islam)

lehaza is mahineh Nikah bhi karsakte hai,aur Koi Taqreeb bhi karsakte hai,to koi Haraj Nahi hai.

 

You might also like