NAMAZ ME WAZOO TOOT JAYE TO ?

Assalamualaikum mufti sahab,agar namaz me wazoo toot jaye tou kaise bahar aaye ,imam aur mozan hou tou kaise aaye aur musalii kis tarah aaye batey tou badi maherbani hogi,jazakallah.

(IQBAL KHAN),

Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,

Namaz me Agar kisi wajah se jaise Naak se Khoon(blood) nikle ya Badan se Khoon ya Peep Nikal jaye ya qay(vomiting) hojaye,Aur  jin cheezo se wazoo toot jata ho un cheezo se Wazoo Toot jaye to ab jis ka wazoo toota hai,wo agar imam ya Moazzin ho to aysi soorat me wo peeche se kisi ko aage Musalle per khada karde phir wo kisi se baat kiye baghir wazoo banale aur apni jitni rakaate chooti huvi thi usko imam ke peeche mukammal karle ab wo jaha jagah mile wahi namaz mukammal kare aage na badhe,aur agar jiska wazoo toota hai,wo muqtadi ho to wo wazoo bana le baat na kare warna namaz fasid hojayegi aur phir se namaz shuru se padhna hoga,imam ki namaz baaqi ho to imam ke peeche apni baaqi namaz mukammal karle aur jab imam salam pher de to jitni rakaat chooti thi usko padhle to kaafi hai,

(Al Hidayah,Vol/1,Pg/250)

You might also like