TAYAMMUM KA TARIQAH WA MASAYIL

TAYAMMUM : Wazu ka Nayib hota hai,aur ye Quran wa Hadees se Sabit hai,Quran me aya hai,ke

وَإِن كُنتُمْ جُنُبًا فَاطَّهَّرُواْ وَإِن كُنتُم مَّرْضَى أَوْ عَلَى سَفَرٍ أَوْ جَاء أَحَدٌ مَّنكُم

مِّنَ الْغَائِطِ أَوْ لاَمَسْتُمُ النِّسَاء فَلَمْ تَجِدُواْ مَاء فَتَيَمَّمُواْ صَعِيدًا طَيِّبًا فَامْسَحُواْ

بِوُجُوهِكُمْ وَأَيْدِيكُم مِّنْهُ مَا يُرِيدُ اللّهُ لِيَجْعَلَ عَلَيْكُم مِّنْ حَرَجٍ وَلَـكِن يُرِيدُ

o لِيُطَهَّرَكُمْ وَلِيُتِمَّ نِعْمَتَهُ عَلَيْكُمْ لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ

(Surah No. 5, Al Maaeda, Part of Ayat No. 6)

aur Hadees me aya hai,ke : Hazrat Ayisha Siddiquah(raziyallahuanha) se rivyat hai,kaha ke maine Hazrat ASMA(raziyallahuanha) ka HAAR liya huva tha,jo safar me Kho gaya tha,to Kaafi Talash ke Baad Ek shaks ko wo Haar mil gaya jab ke us waqt Namaz ka Waqt hochuka tha aur Khatam hone ke qareeb tha,Aur Wazu ke liye Paani(water) bhi Nahi tha,to Rasool e Akram(sallalahualihiwasallam) se jab sahaba e Kiram(raziyallahuanhumajmayeen) is masleh ki bare me sawal kiya to Allah ne Tayammum ki ayat Nazil farmayi to is mauqeh per Hazrat Usaib Bin Huzair(raziyallahuanhu) ne Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) se kaha,ke Allah ne Ap ke zariyah Musalmano ke Moamleh me Bhalayi Ata farmayi hai.

(Sahi Bukhari,Vol/1,H,No :324),

TAYAMMUM WAJIB HONE KI SOORATE : Jab Halate Safar me ho,aur Paani Na ho,aur 1 ya 2 kilo metre Talash karne per Paani Na mile,ya Paani talash karne se Namaz ka Waqt khatam hojata ho, isi tarah eidgah me ho aur wazu toot jaye wazu banakar aane se namaz hojati ho to,Train Choot jane ka andesha ho,etc..

*Paani to ho Bandah safar me ho ya Shaher(city) me , magar Thanda aur Garam Paani(Cool or Hot water) ke istemal karne se Beemari Badhne Ka darr ho,ya Koi Maher Doctor Paani ko use karne se Roka ho ,

*Paani to Ho magar Paani ke Paas koi Darindah ya Dushman khada ho,

*Paani ke istemal se Jaani  ya Badani Aaza ko Shadeed Noqsan hota ho ,

*Paani itna hi ho jitna ke Paani peeskate (drink) ho,aur agar wazu karne se Piyas ka Dar ho,

*Paani to ho,magar usk Koi Bech(sale) kar raha ho,aur Rupiye na ho,

*Sardi ke sabab Beemari ke badhne wa Jaani qatrah ho,aur Garam paani bhi na ho,to aysi soorato me TAYAMMUM WAJIB HOJATA HAI,

 

TAYAMMUM KIS SE KARE : Tayammum me Paak Mitti,Reti,Raakh, Ghubar,Patther(stone), Chone aur Gacchi se bhi Tayammum Karsakte hai,

TAYAMMUM KA TARIQAH : Tayammum me Niyyat Shart hai,lehaza Tayammum ki Niyyat karle aur Tayammum me 2 Farz hai, 1)Charah(face) ka Mitti se Masah karna,2) 2 Haatho ka Kohniyo tak Mitti se Masah karna ,

*2 Haatho(Hands) ko Paak Mitti per maare phir 2 Haatho se Chahrah ka achi tarah masah karle,phir Doosri martabah 2 Haatho ko Paak Mitti per Maare Phir Baye Haath(left Hand) ko seedhe Haath(Right Hand) ke Ungliyo se masah shuru karke phir ungliyo per hi khatam kare(ye adab hai,agar aysa na aye to sirf kohniyo tak masah karna bhi kaafi hai) isi tarah Seedhe Haath se Baye Haath ka Masah kare,to is tarah tayammum mukammal hojayega,

TAYAMMUM KA HUKM : Wazu aur GHUSL keliye is tarah hi Tayammum karna hai,aur Ek Tayammum se Hanafi Mazhab me Kayi Namaze Ada karsakte hai,aur kisi bhi waqt ki namaze ada karsakte hai,aur jab tak paani na mile kitne bhi Din,Mahine aur Saal(years) bhi Tayammu karsakte hai,

(Jamiut Tirmizi,Vol/1,H,No :124),

TAYAMMUM KA TOOTNA :Jab Paani(water) Dastiyab(available) hojata hai,to Tayammum Toot jata hai,

(sahi Bukhari,vol/1,jamiut tirmizi,vol/1,AL Hidayah,Vol/1)

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR,TELANGANA).

 

 

 

You might also like