DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH, DAY : 228,

 

Hazrat Sulaiman Bin Surad(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,Maine Suna :
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Shaks Apne Peth(Stomach) ki Beemri ki Wajah se Inteqal karjaye to Usko Qabr ke Azab se Mahfooz Kiya jayega.
(Vol/1,H,No :1085),
Dars :Yani Jo Bandah Nek wa Deendar ho Har Qisam ke Haram Maal se Mahfooz rahta ho,Phir bhi usko Koi Peth(Stomach) Ya Badani wa Jismani Beemari lag jaye to Ayse Shaks Ko Allah Qabr me Hifazat karta hai,
■■ Jo Log Haram Maal ka istemal karte hai,Ghairo wa Ghareebo ka Maal Dhoke se Hasil karte hai,Zameeno pe Qabzah karte hai,etc..to Ayse Logo ko Kayi Qisam ke Beemariyo ki Shakal me Dunya aur Azab ki Shakal me Aakhirat me Yani 2 Jahan me Saza Milti hai,Kahne Ka Matlab Dunya me Hi Har Bure Kaam se Ruk jana hai…Warna..!!!
Allah hame Sacchi Taubah Naseeb farmaye
Ameen.

You might also like