DARSE JAMIUT TIRMIZI

Hazrat Abu Zarr(raziallahu) se rivayat hai,apne Kaha : RASOOLULLAH ﷺ NE FARMAYA: Mai zaroor Jahannam se Sab se Aakhir me Nikalne wale aur Jannat me Sab se Akhir me Dakhil hone wale ko jaanta hoon, Ek Shaks ko Laya jayega Aur Hukm hoga ke uske Sagheerah Gunaho ke Baare me sawal karo aur uske Kabeera Gunaho(Bade Gunah) ko Chupa do,Aur us se Kaha jayega ke Tune Ayse ayse Gunah kiye aur is jagah aur is waqt per ayse Gunah kiye..!!

Apne farmaya: To us se Kaha jayega ke Tere “Har Gunah” ki jagah “Neki” likh di jayegi.

To wo shaks kahega k Aye Mere Rabb Maine Ayse Kaam hi Nahi kiye lekin Mai usko yaha dekh raha hoon..!!

Ye Sunkar Nabi e Akram sallallahualihiwasallam muskurane lage to apke Dandane Mubarak (teeth) dikhayi de rahe the.

(JAMIUT TIRMIZI, VOL/2,HADEES NO :2800),

DARS : IS HADEES E PAAK ME IS BAAT KI RARAF ISHARAH HAI,KE ALLAH KE FAZAL KE SAAMNE BANDEH KE AAMAL KUCH BHI NAHI HOTE HAI,RABB CHAHE TO GUNAH GAAR KE GUNAHO KO NEKIYO ME BADAL KAR USKOJANNAT ME DAKHIL KARDETA HAI,AUR WO HAMESHA KELIYE JANNATI HOJATA HAI,

● BANDEH KO CHAHIYE KO WO APNE AAMAL ME ALLAH KI TAUFEEQ KI DUA KARE TO ALLAH USKO LOGO KE MASHGHOOLI WALE MAHOL ME BHI NEK KAAM KI TAUFEEQ ATA KARTA HAI.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

☆ WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATHULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, TALAB KATTA, MAHBUBNAGAR TELANGANA).

 

 

You might also like