ZAKHM AUR WAZU ?

Sawal :Assalamu alaikum,Hazrat ki bargah me ek sawal hai ki kal mere pair me chot lag gayi aur khoon nikalne laga to maine us par kapda bandh diya magar ab main wuzu ke waqt kya karu?
Agar use kholunga to khoon nikalne lagega

Namaz kaise padhu?
(Shahnawaz alam jharkhand) Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Agar Jis ke Badan per Zakhm lag jaye aur ilaj(Blood rokne,etc..) keliye patti,Bandage ya kapda baandh le aur usko Wazu keliye Nikalne se Zakhm ke badhne ka andesha ho to ayse soorat me Us maqam per Paani(water) se Masah karlena hi kaafi hai,usko Nikal kal Dhona Zaroori Nahi hai,Masah karlene se wazu hojata hai,aur ua wazu se Namaz bhi ada karsakte hain.
(Al Hidayah,Vol/1,Pg/155..200).

Plz..Share it to All,For more Visit our web site :anwaarulislam,com

You might also like