DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NIKAH , DAY : 253,

Hazrat Ali Bin Abu Talib(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihwasallam) ne “Nikah e Mut’ah” se aur Gharelo Gadho ka Gosht khane se Mana farmaya hai.
(Vol/1,H,No :1147),
Dars : Nikah e Mut’ah ka matlab : Contract Marrieage hota hai,Yani 1 Mahinah ya 3 Mahinah itna…… Maher rakh kar Apas me Nikah karlete hai,Aysa Nikah Jayiz Nahi hai,
Kyu ke Nikah Waqti Qurbat Ka Naam Nahi hai,Balke Nikah to Dayimi Mohabbat,Dili Ta’alluq Ka Naam hai,aur ye Rishtah Dunya me bhi hota hai,Aur Aakhirat me bhi baaqi rahta hai,jabke
Deene Islam ne to Aurat(apni Bivi ) ko Hamesha Mohabbat,Hifazat(Protection),Ur Uska Khayal(Care) rakhne ki taleem deta hai,Na ke waqti taur per Faidah hasil karne ki……
■■ Nikah ke Bare Baaz Jamaat…. Faidah Hasil karne ka Moamlah Samajhte hain,Jo ke Sahi Nahi hai,aur ye Islami taleemat ke Bilkul Khilaf hai…
Allah sabko Nek Taufeeq ata kare..Ameen.
●● Gharo me Paalne wale Gadho ka Gosht khana Jayiz Nahi hai,

Plz..Share it to All,For more islamic Services Visit web site : anwaarulislam,com.

You might also like