GHAIR MUSLIM KO BHAI KAHNA ?

Sawal: Assalamualikum,Mufti saheb,

Ghair Muslim ko bhai kehna….jaisa ke bazar me jate hai dukan ya hotel me jate hain..aur kehte hai bhai zara yeh dena ..falan dena…tho ghair muslim ko bhai yeh do woh do kehna ..kaisa hai Islam me..jabke hamari niyyat usko bhai kehne ki nahi rehti…
(Mohammed Sameerullah Khan)

Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Ghair muslim ko Moamlaat me bhai kahna ye islami Akhlaq wa tahzeeb me se hai,kyu ke usko Ghair Ki Nigah se Nahi balke ek Insaan hone ki Nigah se dekhna hai,lehaza Aap sallallahualihwasallam aur Hamare Aslaaf ke yahi Akhlaaq the ke Ghairo ko bhi Ache Naam aur alqabaat se pukara karte the jiski wajah se Ghair Muslim Musalman hojaya karte,aur Tijarat ki niyyat se India me Arab mamalik se Aye saudi Apne yahi Ache Akhlaaq ki wajah se kamiyab rahe,
..Khulasa yahi hai,ke ghair ko Bhai kah kar bula sakte hai,wo Moamlah me hi bhai samjha jayega,Deen wa mazhab me bhai Nahi hoga. (Tafssere Roohul Ma’ani,Vol/28)

Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like