DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : LIBAS , DAY : 329,

 

Hazrat Rukanah(raziyallahuanhu) se rivayt hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Musalman aur Kafir me(Sar ko dhankne me) farq ye hai,ke :Musalman Topi(Muslim cap) per Amamah Bandhte hain.
(Vol/2,H,No 1896),
Dars :Ye Hadees e paak Daleel hai,is Amal KI Ke *Sar(Head) per Topi Lagana Sunnat Hai*
●● Aajkal Baaz Log Sar per Topi Lagane se inkar karte hai,Kahte hain,Ke Topi Lagana Kahi se Sabit Nahi hai ?
To Dosto is Hadees e paak me to wazeh taur per Topi Lagana Sabit hai,aur to aur Amamah bhi pahen ne ko kaha gaya hai,jo ke sunnat hai,
■■ Sar per Topi Lagana Sunnat bhi aur Musalman ki Alamat bhi hai,ke Agar koi Carodo logo me ek Topi wale shaks ko dekhle to usko wo Musalman hi kahega Na ke koi Doosre mazhab wala…!!!
Lehaza ek Musalman ko ye sunnat Badhane ki hi koshish karna chahiye Na ke us Sunnat ko khatam karde…!!!
Hamare Aslaaf ne bhi hame topi pahen ne ki taleem di hai,Badan ke Har Azu(part) ka ek libas hota hai,lehaza Sar(head) ka Libas TOPI hai,
☆☆ Ulama e kiram ne Muslim Topi ke bare me kaha hai ,ke Sar per Topi lagana Aajizi wa inkisari ko badhata hai.
Allah hame islami shiar ki tazeem karne ki taufeeq ata kare…Ameen.

Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like