LEFT HAND KI FINGER SE TASBEEH ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,

Mera sawal ye hai,ke kiya Seedhe Haath ki ungliyo ke Ghatto ke saath saath Baye haath(left Hand) ki ungliyo ke ghatto se bhi Allah ka zikr shumar karsaktr hain ? Ya Nahi ?
(Mohammed Aleemuddin,Kuwait),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
2 Haath Allah ki di huvi nemat hai,to Unka istemal Halaat wa Mawaqeh ke lehaz se hota hai,
Seedeh Haath se Khana khaya jata hai,to phir khate waqt Baye Haath se paani bhi piya jata hai,
Aur doosri halat me Seedhe haath se lota pakad kar baye haath se ghilazat bhi saaf karne ka hukm hai,to kahna maqsood ye hai,ke..Insaan ne islam me dono haatho ki Ahammaiyyat wa Fazeelat ko baaqi rakah hai,lehaza Doni Haatho Seedhe aur Baye Haath ki ungliyo ke Ghatto se Allah ki Tasbeeh Padh sakte hai,usme koi Haraj Nahi hai,aur Tasbeeh se bhi Zikr karsakte hai.
(Hashiya e Sahi Bukhari,Vol/1),

Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaaruliam,com.

You might also like