DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 332,

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hum Marre Zahran (Ek Maqam ka Naam hai) me Ek Khargosh(Rabit) ko Paye to uska peecha karke Hum usko pakad liye aur Hazrat Abu Talha(raziyallahuanhu) ke paas legaye to aapne usko Ek Tezz Lakdi se Zubah kiya aur uske Raan wale Hisseh ko Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ki Bargah me pesh kiya gaya to aapne bhi usko Tanavul farmaya.

(Vol/2,H,No : 1901),
Dars :Islam me Khargosh ka gosht khana Halal hai,Jab ke Baaz Ulama e kiram ne Moannas(female) Khargosh ke gosht istemal karne ko Makrooh kaha hai,kyu ke usko Haiz aata hai,
Lekin Aksar ulama e kiram ne female Khargosh ke gosht ko khane ki ijazat diye hain,
●● Is Hadees se ye bhi daleel milti hai,ke Agar Janwar ko koi tezz lakdi se zubah kare to uski ijazat hai,aur wo janwar Halal hoga,
■■ Yaad rahe khargosht ko zubah karke khaya jasakta hai,magar usko Qurbani ya Aqeeqeh me zubah karke qurbani ya Aqeeqah nahi karsakte hain,us se wo ada Nahi hoga,
Allah hame Halal khane ki taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamc web site…anwaarulislam,com.

You might also like