DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 333,

Hazrat Jabir Bin Abdullah

(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Hame Ghode(Horse) ka Gosht khane ka Hukm diya aur Gadhe(Ass) ka gosht khane se Mana farmaya hai.
(Vol/2,H,No :1906),
Dars : Ghode ka Gosht khane ka hukm ibteda e islam me diya gaya tha,Phir Baad me Ghode ka gosht khane se Mana kiya gaya hai,kyu ke Ghoda Jung me istemal kiya jane wala ek Ahem Aalah hai,agar sab ghoda khate rahe to wo khatam hojayega isliye us ko khane se roka gaya hai,Haan wo Halal janwar hi hai,Haram Janwar Nahi hai,
(Al Bahrur Raayiq,Vol/3),
Baaz Ulama ke paas ghode ka gosht khane ki ijazat milti hai,
■■ Ghade ka gosht khana islam me mana hai,
●● Ghadeh ka Doodh Sardiyo(winter) me Chote bacho ko Badan me garmi paida hone keliye pilate hain,to Ghade ka doodh agar koi Mahir Doctor bataur e ilaj peene keliye kahe to uski ijazat hai,warna Nahi hai,
Allah hame Amal ki taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like