RASAM (ENGAGEMENT) KA HUKM ?

Sawal :Assalamualaikum

Moulana ye shadi se pehle rasam karte ye rasam karna sunnat hai ??
Yaa apna banaliye so riwaaj hai
Bagair rasam ke shadi ni karsakte ??
Rasam ni kare toh gunahgaar hote kyaa?
(Noman,Mbnr)
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah.
Rasam karna Sunnat Nahi hai,Bus ek Mustahab Rivaj hai,Jisme Ladki aur Ladka ka Rishteh Mustaqbil me Nikah se hone wale Shohar wa Bivi ke Rishteh ko Mazboot karne keliye karte hai,taake koi Doosra Shaks Rishteh Bhejne keliye Zahmat Na kare,
Lekin Ye Karna Zaroori bhi Nahi hai,aur jo Nahi kare to wo Gunahgar bhi Nahi hai,
Haan,Ye Baat bhi Yaad rahe ke LOGO ME JO RIVAJ AAM HO RAHA HAI,KE JISKA RASAM(ENGAGEMENT) HOJAYE TO WO AADHE MIYA BIVI HOGAYE KAHTE HAIN,AYSA KUCH BHI NAHI HAI,AUR LADKI WA LADKE KO JO BAAZ GHARANO ME AZADI DI JARAHI HAI,WO ISLAM TALEEMAT KE KHILAF HAI,,RASAM KE BAAD BHI LADKA LADKI AJNABI HI RAHTE HAIN,KOI SHAREE HUKM UN PER LAGU NAHI HOTA HAI,Kyu ke Nikah ka koi ek Rukn bhi Rasam me Nahi Paya jata hai,
(Al Fiqh Alal Mazahibl arab’a,Vol/2)
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like