DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 406,Hadees No :2059,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) Se sawal kiya gaya ke Ya Rasoollallah
(sallallahualihiwasallam) : Ye Gheebat kiya hoti hai ?
To Aapne farmaya : Tumhare Bhai ke Peeche Us Baat se usko Yaad karo ke Jo Baat usko Na Pasand ho,phir Arz kiya gaya ke :Agar wo Baat usme ho to ? aapne farmaya :Agar wo Baat usme ho to aur tum kaho to wahi “GHEEBAT” hai,aur Agar Na ho tum usko kaho to wo “BOHTAN” hai.
(Vol/2,Hadees No :2059),
Dars :Quran e paak me bhi Gheebat ke bare me aya hai,ke Jo Apne Bhai ki Gheebat karta hai,to Goya ke wo Apne Mare huve bhai ka Gosht khata hai,yani Murdah gosht khane ke Barabar hai…!!!
■■ Masjid ke Sahen se lekar Galiyo ka Har Raastah,Bado,Aurato aur Jawano ki Mahfile Gheebat ke baghair Na kukammal hoti hai,Nikah ki taqreeb se lekar Chahlum ki dawat bhi Gheebat ke baghair poori nahi hoti hai,jiska ke humko pata bhi Nahi hota hai,ke hum doosro ke bare me kiya kah rahe hain..!!?
Lekin ye Haqeeqat hai,ke Salan me Jis tarah Namak zaroori hota hai,is tarah Aaj hamari Mahfilo me Gheebat Lazim hochuki hai,Allahu Akbar Kabeera…
Ye Shaitani Sazish hai,jisme wo Kamiyab bhi hochuka hai,
Insha Allah Agar hum Islami Taleemat wa Nek Sohbato ko phir se Apna le to Ye Gheebat ki Bala Zaroor door hojayegi..
●● Bothan ? Kisi me Tohmat wa Ayb lagane ka Naam Bohtanhai,
Allah hame Gheebat se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like