DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 407,Hadees No :2060,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Apas me Ta’alluqat Mat Todlo,Ek Doosre se Boghz,Keena aur Hasad Na karo,Ek Doosre ke Bhai Bankar Zindagi guzaro,3 Din se Ziyadah Ek Musalman ka Doosre Musalman se Baat kiye Baghir rahna Halal Nahi hai.
(Vol/2,Hadees No :2060),
Dars : Is Hadees e Paak me Kayi baato ki taraf isharah kiya gaya hai,jin me se ek Baat Hasad bhi hai…
●● Ek Doosri Hadees me aya hai,ke Hasad Insaan ki Nekiyo ko is tarah khajata hai,jaise Sookhi Lakdi ko Aag khajati hai..!!
☆☆ Hasad ? : Doosro ki Kisi Nemat(Ghar,Gadi,Qeemti Cheeze ya Logo ki Tareefe,etc..) ko Dekh kar Us Nemat ko us Cheen jane aur khud keliye Hasil hojane ke Iradeh ka Naam Hasad hai.
●● Doosro se Hasad Karne Wale ke Halat : Jo Shaks Hasad karne lagta to Samajhlo Uski Dunya ki Zindagi ka Har Mazah khatam hogaya,aur Aakhirat me Hisab ki jane wali Nekiyo ko bhi wo kho deta hai..?Raat ki Neend aur Chahreh se raunaq khatam hojati hai,aur B.P to Muft me hi aajati hai..!!
■■ Hasad Apno se wahi karsakta hai,Jiska Eiman kamzor hota hai,Khud ke Bhai,Bahen,Rishtehdaro,apne Sathiyo aur Musalman balke Kisi bhi Insaan se Hasad Na karne ka Naam hi Islam aur Musalman hai.
Allah hame hasad se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like