FACE PER KE BAAL NIKALNA ?

Sawal :Assalaamu alaikum mufti sahab. .
Kya ladies apne chehre kuch hisse k hairs nikal sakhte hai..jaise upper lips aur cheeks k niche…..kuch hairs maardo ki daarh ki tarah aati hai magar haalki….Magar woh dekhne walo.ko dekhte hai…..
Aap se guzarish hai ke aap sahi tareeqa batayen.
(Mohammed Ali),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Khawateen (Ladies) ke Chahreh per kahi per bhi kuch Baal nikal aye jo zahir hotahe ho to un Baalo ko Shareeat ne Nikkalne ki Ijazat hai,kyu ke Aurat ke Chahreh per Baalo ka aana ye uski zeenat me se Nahi hai,lehaza Zeenat keliye un Baalo ko Nikal sakte hain.
Haan,Jo Baal Chareh per zahir hi Na ho bus ayse hi Baal nikal rahe ho to uski ijazat Nahi hai.
(Fatawa Alamgiri,Vol/4),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like