ETEKAAF ME FACE BOOK KA ISTEMAL ?

 

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,
Etekaaf ki Halat me agar koi Deeni Maloomat Hasil karne keliye Kiya Face Book use karsakte hai ?
(Mohd Zameer),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Etekaaf ki jo Halat hoti hai,wo bohat qeemti Lamahat wali Halat hoti hai,Jisme Bandah apne Rab ke aur uski Rahmat ke Saamne Hazir hota hai,
To Chahiye ke Etekaf wala Kasrat se Quran ki Tilawat aur Zikr wo Awraad wa Namazo me Masroof rahe,is tarah etekaf rahe to Roohani Faiz Hasil hoga,
Haan,Deeni Maloomat keliye etekaf ki halat me “Face Book” ka istemal Nahi karsakte hai,kyu ke Face Book Koi Khaalis aur Khaas Deeni wa Islami Application Nahi hai,
balke usme kayi yani Aksar hi Dunya ki Cheeze hoti hai,jis se Etekaf karne wale ka zahen phir se dunya ki taraf hi chala jayega,
Haan,Deeni masayil malum karna ho to Masjid ke imam ya Kisi se Phone pe rabt karke mukhtasar baat karke maloom karle to Kaafi hai.
(Al Hidayah,Vol/2,pg/173),

Guzarish : hai,etekaaf me baithne walo se ke wo Total 10 Din Dunya ko Bhool kar aur Chod kar ibadat kare to Bohat faidah hoga.

You might also like