ALAM AUR MATAMI JULOOS

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,

Kiya Alam aur Matami Juloos ko dekh sakte hai ? Aur Usme Shareek hone ka kiya Hukm hai ?
(Mohammed Fareeduddin),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Alam Aur Matam ka islami Taleemat se koi Ta’alluq Nahi hai,aur Jo Kahte hai,ke gham ka izhar hai,to islam me Gham ke izhar ke tareeqeh bhi bataye gaye hai,ke Nauha Na kare,Girehban ko Na padhe,Aur apne Rokhsaaro per Na maaro
(Jamiut Tirmizi,Vol/1,H,No :1026),
To mere Dosto ab ye Matam me to yahi hota hai,aur is se bohat ziyadah hota hai,jo ke Islami taleemat ke Bilkul Khilaf hai,aur isme Shareek Hona aur Matam dekhna bhi Sahi Nahi hai,kyu ke isme Ghair Tahqeeq Kaamo ki Nisbat usme Ki Jati hai,jiska Suboot kahi Nahi milta hai,aur usko Ek Doosri Shakal me pesh karte hai,lehaza Us waqt ko Zikrullah aur Zikr e Rasoolullah
(sallalllahualihiwasallam) aur Hasanaine Kareemain,Ahle Bait e Kiram ki Azmato ke unki Seerato ,Shohada e Karbala ke islam ki khatir tareekhi karnamo ke tazkireh karna aur Sun na ziyadah behter hai,
jis se Eiman wa Yaqeen me Mazbooti paida hoti hai,uske saath saath Ghareebo aur Mohtajo ko Khana khilana,Sadqah dena,aur Paani wa Sharbat pilane Ka ehtemam kare to Sawab Hasil karne ka zariyah banega aur Aane wali Naslo ko Behter Sabaq wa Tarbiyat Naseeb hogi.insha Allah

You might also like