DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER : JANAZAH, DAY : 217,

 

Hazrat Abu Ibrahim Ash Hali
(raziyallahuanhu) apne Walid se rivayat karte hai,kaha,Rasool e Akram
Sallallahualihiwasallam) Jab Namaz e Janazah padhte to Ye Dua padhte, 

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِحَيِّنَا وَمَيِّتِنَا وَشَاهِدِنَا وَغَائِبِنَا وَصَغِيرِنَا وَكَبِيرِنَا وَذَكَرِنَا وَأُنْثَانَا اللَّهُمَّ مَنْ أَحْيَيْتَهُ مِنَّا فَأَحْيِهِ عَلَى الإِسْلاَمِ وَمَنْ تَوَفَّيْتَهُ مِنَّا فَتَوَفَّهُ عَلَى الإِيمَانِ.

(VOl/1,H,No :1040),
Dars : Jo Janazah Baligh(Major) Mard ya Aurat ka ho to Aysi Soorat Namaz e janazah me ye Dua Imam aur Moqtadi dono padhna hai,aur Na Baligh Ladki aur Ladke ke liye Doosri dua hai,unke janazeh me wo padhna hai,jisko insha Allah aage bayan kiya jayega,
so aap se guzarish hai,ke ye dua yaad karle to behter hai,kyu ke ye dua zindagi me sirf ek Hi baar yaad karna hota hai,aur agar Yaad Na kare to Hazaar Baar Yaad Na hone ka Bahana Banana padega,Jo ke badi Afsos ki Baat hoti hai.

You might also like