AYAT COUNTING KELIYE DIGITAL WATCH KA ISTEMAL ?

Sawal : Assalamualaikum mufti sahab,kya digital watch pahen karr sureh yaa koi aayat k counting karne k liye pahen kar padh sakte hai,maherbani jawab inayat farmaye,jazakallah.

(Iqbal khan),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Qurani Surah ya Ayat ya koi Wird aur zikr ke Shumar(Counting) karne keliye Digital Watch Pahen ne ki Ijzat to hai,koi Haraj bhi Nahi hai,
Magar Us se Tilayat ya Ibadat ki Roohaniyat me khalal horaha ho ya Khushu paya Na jaraha ho ya tawajjuh Zikr se ziyadah Counting ki taraf ho to Ab us Digital Watch ka Na pahen na Behter hai,aur Pahne to Karahat ke saath ibadat hogi,isliye Na pahne taake Ibadat me khushu wa Tawajjuh Baaqi rah sake.
Iska Hukm is tarah hi hai,jaise Namaz me Tasbeeh ko Ungliyo per Shumar karne ko Makrooh kaha gaya hai.
(Al Ashbah Wan Nazayir,Vol/1,Al Hidayah,Vol/1),
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site .anwaarulislam,com.

You might also like