DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 404,Hadees No :2056,

 

Hazrat Abu Dardaa(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Jo Bandah Kisi Musalman Ko Be Izzat hone se Bacha lega to Allah Uske Chahreh ko Jahannam me Jalne se Bacha lega.
(Vol/2,Hadees No :2056),
Dars : Aaj Dunya me Sab se Sasti Cheez Musalman ki izzat hogayi hai,aur Musalman ko Be izzat karne ka Mahol bana huva hai…jisko Bohat Aasan bhi Samajh rahe hain.. jisme Apne aur Ghair dono Shamil hai,ghair to apna Dushman hai,hi kuch apno ko bhi dekh lijiye..ke ;
@@ Ibdat Gaho se lekar Shadi khano tak bus ek hi mizaj ke Doosre ko Apni Zubani Alfaz,Badani Libas aur Umdah Khane Banakar kaise Be Izzat kiya jaye soch rahe hain to phir Jab ham hi apas me Ek doosre ko Be Izzat karne pe lage huve hain,to Phir Ghair Hamari aur Hamare Mazhab ki kise izzat karega…??!!
Androoni taur per Be izzati ki Harkate hamari phir uper se Hukoomato pe rona dhona Be Muqah Shikayat ke Alawah aur kuch bhi nahi hai…
Agar Hum Apne Musalman Bhai,Bahen ki izzat karenge to Aakhirat me jahannam se hifazat bhi milegi aur Dunya me izzat ke saath Shan wo Shawkat bhi..warna uske baghir kuch Nahi milne wala..
●● Moashreh me Kisi ke Ghar me Rishtah ka paigham aya ho to Padosi wa khud kw Rishtehdaar Un Ghar wali ke Be izzati ke asbaab talash karke Rishtah todne ki koshish karte hain….!?
To phir Hamare rishteh kise mahfooz rahenge..??
■■ Masjid me Sadar wa Mutawalli Imam wa Moazzan ki Choti si Laghzish per Be izzat karna ka mauqah talash karta hai..??
To phir Hamari masjide kisi mahfooz hongi…??
●●Ham me Zaat,Bradari,Etc…ke lehaz se farq ajaye to phir hum ek doosre ki izzat kise karenge ??
Phir hum me Ittehad kise ayega…??
Khualasah yahi hai,ke Aaj ham me kayi aysi cheeze agayi hain,ke Jiski bunyad wa Maqsad sirf ek Doore ki Be izzati hoti hai,hame in Baato se mahfooz hona hai,aur Jahannam se Najat hasil karna hai.
Allah hame apasi Izzat wa Ehteram ko Baqi rakhne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like