BADAN PER THOOK GIRNE SE WAZU ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,

Agar koi Bandah Wazu banale phir usme Badan per ya badan ke kisi Hisseh per khud ka hi ya doosre insaan ka thook(Lu’ab) gir jaye to kiya wazu baaqi rahega ?
(Sameerullah khan,qatar),
Jawab :Walikumassalam warahmatullah,
Agar kisi Ba Wazu Shaks ke Badan ke kisi Hisseh per khudka ya kisi doosre insaan ka thook(spet) girjaye to dekhenge ke us Thook me Khoon bhi paya jaye to ab is shaks ka wazu us khoon ke lagne se toot jayega,
Aur agar us Thook me Khoon(Blood) Na ho to ab iska wazu Nahi tootega,kyu ke insaan ka Thook Na paak Nahi hota hai,
Haan,Agar Kutta(dog,etc..) Haram Janwaro ka thook lag jaye to us se wazu toot jata hai,kyu ke Haram janwaro ka Thook bhi Na Paak hota hai.
(Al Binayah,Vol/1,Sharh ul Wiqayah,Vol/1,),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like