DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHANE KE AHKAM, DAY : 345,

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Yaqeenan Allah us Bandeh se Raazi hota hai,jo Bandah Ek luqmah khana khane baad ya Ek Ghoont Paani peene ke baad *ALHAMDULILLAH* kahta ho.
(Vol/2,H,No :1929),
Dars : Mere islami bhayiyo 2 Jahan me kamiyabi ki zamanat agar koi cheez hai,to wo *Allah ki Razamandi* hai,jisko Allah ki Raza milgayi to samjho usko Jannat me Baqa milgayi,aur Ye Raza Khane ya Peene ke Baad Allah ki Hamd(tareef) bayan karne se milti hai,
■■ Mehnat yani Alhamdulillah Khana Bohat kam hai,lekin In’aam Yani Allah ki Raza ka hasil karna bohat Bada hai,
●● Khane ya peene ke baad Allah ki Hamd(tareef) karne ka doosra Naam hi Shukr karna hai,jo Bandah Rizq ya Nemat milne ke baad Allah ki tareef ya Shukr karta hai,to Allah uske rizq wa Nemato me izafah kardeta hai,
Allah hame Shakireen me shamil karlijiye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like