BAKREH KE HISSAH KI TAHQEEQ ?

Sawal :Assalalumualikum,Mufti Saheb,

Bakreh me Kitne Hisseh hoti hai,kiya bakreh me 7 Hisseh hote hai ?aur Doosre Janwar ke hisseh bhi bata de ke ek Janwar me kitne log shareek hosakte hai ?

(Abdul Raheem),

Jawab: Walikumassalam wa rahmatullah,

Shareeat e Mutahharah me Eid ul Azha ke Mouqeh per Janwar ki Qurbani dene wajib hai,aur qurbani ke Janwar ki Hissoh ki Tafseel Ye Hai,ke

Ek Bakrah me Sirf Ek Hi Hissah hota hai,aur usme sirf ek hi Shakd Qurbani de sakta hai,7 Log Qurbani ki Niyyat se Bakrah me Shareek Nahi hosakte hai.

(Al Binayah,Vol/11,Pg/20),

aur Gaye,Bail,Khulga,Aur Wont(camel) me Jumlah 7 Hisseh hote hai,aur isme jumlah 7 log shareek hosakte hai,kyu ke Hadees  e paak me aya hai,ke

Hazrat Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hudaibiyyah ke Saal hum ne Rasool e Akram(sallallahulihwasallam) ke saath Ek Gay(COW) ki janib se 7 Hisseh,aur Ek Wunt(camel) ki Janib se 7 Hisseh Qurbani ada kiye hain.

(Sahi Muslim,H,NO:1318),

aysa kare to Sunnat bhi ada hogi aur Qurbani ki qurbat Bhi Ibadat hojayegi,Insha Allah.

You might also like