Topic On The beautyful holy hair of prophet mohammed (صلى الله عليه و سلم)

عن أنس بن مالك ؛ أن رسول الله صلى الله عليه وسلم أتى منى. فأتى الجمرة فرماها. ثم أتى منزله بمنى ونحر. ثم قال للحلاق “خذ” وأشار إلى جانبه الأيمن. ثم الأيسر. ثم جعل يعطيه الناس

Hazrat Anas bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) maqam e mina ke paas aye,awr jamrah ke paas kankar phenkne ke baad phir mina ke nazdeek tashreef laye,awr janwar ki qurbani di,awr Halaq(Sar ke Baal mondne wala) ko bulakar baal mondne ka hukm diya,
to pahle seedhi janib isharah farmaye,phir baye janib,jab aap ke baal e mubark ka halaq karna pura huva to Sahaba ko wo saare baal taqseem kardiye,

(SAHI MUSLIM,VOL/1,KITABUL HAJJ),

Dosto, Ye muslim shareef ki hadees hai,awr isme Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ke muve mubarak (Hairs) ke taqseem karne ki daleel hai,
Aaj kal ke apne aapko isalmic scholer kahen wale Nabi e paak ke muve mubar (baal) ke navuzubillah tavheen karte hai,awr hamesha ka azab apne taqdeer me mol lete hai,
to chahiye ke unhe ye hadees padhle,,ke jab sahaba ko aapke baal taqseen kiye jarahe the,to sahaba ne aql ke ghode davda kar uska inkaar nahi kiya,
balke,AQEEDAT bhare haatho se phool samajh kar unko apne seene se laga liya,,
ye hai,sachi **eemani mohabbat** ,
Allah hum sabko naseeb farmaye,,Ameen,.

You might also like