QURBANI KE JANWAR KA MILK ?

Sawal: Assalamualikum,Mufti Saheb,

Jab Qurbani ke Janwar Gay(cow) ho,ya Bakri ho ya Wuntni Ho jis se Doodh(milk) aata hoto aysi Soorat me Qurbani se pahle us Doodh ka kiya Hukm hai ? kiya usko Istemal karsakte hai ? ya Nahi ?

(Mohammed Khaja ),

Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,

Maaddah(Female) Qurbani ke Janwar ka Doodh aur Doosre Nar(male) ho ya Maaddha(female) unke Woon(hairs of Body) ko istemal karna”Makrooh” hai,

aur Doodh ke bare ke tafseel ye hai,ke Agar Doodh aaraha ho to uske Thano per Thanda Paani(cold water) chidak de to Doodh aana Bandh hojayega,

aur Agar Qurbani ke din bohat door hai,to ab suke Doodh ko Nichode phir us Doodh ko Sadqah kardena chahiye,istemal Na kare.

(Al Kifayah,VOL/8,Pg/437)

You might also like