BETE PER BAAP KI QURBANI ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Mere paas Maal hai,aur mai Qurbani dena Cahraha hoon,aur Mere walid ke paas Maal Nahi hai,to ab mai meri janib se Qurbani dena hai,ya Walid ke Naan se Qurbani dena hai ?
(Mohammed Anwar),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Jis ke Paas Maal ho yani Jo Sahib e Nisab ho us per Qurbani Wajib hoti hai,ab kyu ke Aapke paas Maal hai,aur aapke Walid Sahib e Nisab Nahi hai,to aap per Qurbani wajib hai,aur aapke walid per Qurbani dena wajib Nahi hai,to aap Apne hi Naam se Qurbani de to Wajib ada hoga,
(Al Hidayah,Vol/7,Pg/165),
Aur aysa karne se aap Gunahgar bhi Nahi honge to Behter ye hoga ke is Masleh ko aapke walid saheb ke saamne rakhe aur samjha kar Unko raazi karle to ziyadah Behter hai,Qurbani bhi Hojayegi aur walid Ki Razamandi bhi mil jayegi..Insha Allah.

You might also like