NAYI DULHAN KI HOME ENTRY AUR HAMARA RIWAJ !!! ?

Sawal :Asslamu Alekum mufti Sahab ek sawal hai
Ek Riwaj hai ke jab Dulhan ko ghar laya jata h to uske pair ko dho kr us pani ko ghar me dala jata h , bahot ba barkat bataya gaya hai ki , Jab dulhan ghar Aaye to uske pair ko dho kr pani ghar ke 4 kone me dalne se ghr me barkat hoti hai ?
Kya ye Sach HAI.. Aisa karna Chahiye ya nhi Aap is par Rosni Daliye?
(Muslim Salonki),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Dulhan ka Ghar me Pahli Baar dakhil hote Waqt uske pairo ko Paani se Dhokar us Paani(water) ko Ghar me aur Ghar ke 4 Kono me dalne se Ghar me Barkat aane ka Tasawwur Quran aur Hadees se Sabit Nahi hai,to aysa Musalman ke Ghar me Karna Sahi Nahi hai,
Haan,Barkat Ka Taalluq Nek Amal aur Neki se hota hai,agar Aane wali Dulhan Neki ka Amal karne wali ho aur Allah aur Rasoolullah(sallallahuaihiwasallam) ka Zikr karne wali ho to Ayse Khawaateen aur Nek logo ke Gharo me Dakhil hone se Zaroor Barkat hoti hai,kyu ke Nek Log Jaha bhi rahte hai,Waha Rahmat ke Farishteh Barkat ki Dua karte rahte hai,
(Kanzul Ummal,Vol/3,Ihyavul Uloom,Vol/1)
Jis se us Maqam ki Her Cheez me Barkat hojati hai.
Yaad rahe ke Aane wali Dulhan se Barkat ki ziyadah Umeede Lagaye rakhna bhi Munasib Nahi hai,Balke ayse Mauqeh per to Us Nayi Dulhan ka saath de kar use Himmat deni Cahahiye aur Usko apne pan ka ehsaas bhi,Aur Khud per Bhi Tawajjuh karna zaroori hai,ke Khud bhi Neki ka Kaam kar rahe hai Ya Nahi ? Warna Her Choti Baat aur Mushkil per Dulhan ko Kosne ki Aadat Banjayegi,Jo Ke Shareeat aur Akhlaaq dono ke Khilaf hai,aur Aysi Harkato se Allah Na Raaz hojata hai,Kyu ke Har Cheez ki Wajah bhi to Aane Wali ko Banana Na Insaafi hogi…!!!
Allah hame ayse Baatil Aqaayid se Mahfooz farmaye..Ameen

You might also like