DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ, DAY :185,

Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallaualihiwasallam) ne Maqam Mina Me Zohar,Asar,Maghrib,Isha,aur Fajar ki Namaz padhayi,phir Hum Arafaat Rawanah hogaye.
(Vol/1,H,No :888),
Dars :8 Zulhajja ko Hujjaj Maqam e Mina me pahonchte hai,aur Baaz 7 ko bhi chale jate hai,Waha Taherna hai,aur 5 Namaz ada hi karna hai,
■■ Mina ye Makkah me Ek Pahad ka Naam hai,is pahad per Kayi Martabah Rasool e Akram( sallalahualihiwasallam) tashreef laye aur Namaz ada kiye,
●● Is Pahad ke Baare me Kitabo me likha gaya hai,ke :Hazrat Adam(Alihissalam) Isi maqam per the to un se Hazrat Jabrayeel(Alihissalam) ne kaha ke Aap ko Jo Maangna hai,Maango Allah aapko ata karega to Aapne Kaha اتمني الجنة (Mai Jannat ki Tamannah rakhta hoon) to kaha aapko Allah ne ata kardiya,
To usi Nisbat se iska Naam اتمني se مني (Mina) rakh diya gaya hai.
To is maqam per Talbiyah aur Allah ka Zikr wa Durood ki Kasrat karna chahiye jis se Dil me Eimani wa Roohani Hararat Paida hojati hai.
Allah ye kaifiyyat Sabko Ata kare..Ameen.

You might also like