CHOTE BACHO KI NAMAZE JANAZAH ?

Sawaal:-Assalamualikum,Mufti Saheb,
Jab koi ladka ya ladki paida hone k baad inteqal kar jaye..
aur na hi un ke kaanon me Azaan pukari gaye aur nahi unko maa ka doodh pelaya gaya.. unki namaz e janaza aur tadfeen k kya muamlaat honge…
aur Jo khwateen ka Abortion kiya jaata hai to baad abortion k Jo bacchon ko nikala jaata hai to unke namaze janaza aur tadfeez hoge ya nahi..
aur Kaye log inteqal kar gaye bacchon ko hospital me hi chod kar aate hai aise me un bacchon ka kaisa kya unhe dafnaya jata hai ya phr kuch aur…..
aap ki rehnumaye ka muntazir …
aapka shakird…
( mohd Rafeeq)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Bache Jaisa bhi pada Yani agar wo pet se Murdah hi paida ho to unhe Ghusl Dene aur Namaze janazah Padhane ka Hukm Nahi hai,Balke Sirf Tadfeen karna hai,
Baaz,Ulama e kiram ne Ghusl dene ko bhi Kahe hain,
Haan,Agar Bache Zindah paida ho(Kuch Riye ho,Ya Awaz kiye ho,etc..) phir kuch hi der Baad inteqal karjaye to ab unko Ghusl bhi dena hai,aur Namaz e janazah bhi padhana hai.
(Badayius Sanaaey,Vol/1)
■■ Agar Jin Bacho ko Hospital me hi chod diya jaye to Unke Bare me Enquiry kare agar kuch Bhi Malum Na ho paye to Unki Tadfeen kardena hi ziyadah behter hai.
Plz..Share it to All,for more vist our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like