DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 446,Hadees No :2114,

Hazrat Abdullah Ibne Umer(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha, Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Din 3 Log Mushk(Khushboo) ke Teelo(Chote pahad) per honge,
1) Jo Bandah Allah ka aur Apne Dunya ke Malik(Manager,etc…) ka haq ada kare,
2) Masjid Ka Imam,Jis se Saari Qaum Razi Rahe,
2) Moazzin Jo 5 Waqt Namazo ki Azaan deta ho,
(Vol/2,Hadees No :2114),
Dars : Ye Teeno ayse log Hain,ke Inki Khidmat me Huqooqullah aur Huqooqul Ibaad Dono Shamil hote hain,isliye inhe Us Haibatnak din me bhi Be Misal Khushboo ke Teelo per Badi Shan wa Shaukat se Tahraya jayega..
●● Imam aur Moazzin Ayse Khidmat Guzar hain,ke Ye Baghair Qanooni Chutti ke hi Apni Khidmaat anjaam diya karte hai,Sardi,Garmi ya Barish Har mosam me ye apna Farizah Anjam dete hai,aur inka Allah ke Paas Bohat bada darjah hai,
Ab Hamari Qaum ko bhi chahiye ke inki Sahi Tareeqeh se khidmat kare aur unki Mahanah Tankhaah(Salary) per bhi tawajjuh de to Aane wale Daur me Aalim wa Hafiz Imam Masjido me Rahenge..Warna Qaum ki La parwahi ki bina per koi Alim wa Hafiz Iamamat Nahi karega,jo ke Sab keliye Noqsandah aur Takleef wali Baat hogi…!!??
Haan,Baaz Bohat hi Khair khah log bhi hain,Jo Imam wa Moazzin ki Badi Izzat bhi karte hain,aur unki Ghayibanah Madad bhi karte hai,jiski wajah se ayse logo ko Allah be Hisab Dawlat se bhi Nawazta hai..
Allah hame Apno ki Qadr karne wala banaye…Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like