NA BALIGH LADKA YA LADKI KA INTEQAL…AAMAL ?

Sawal :Assalamu alaikum WA rahmatullahi wa barakaatahu
Mufti sahib ek sawaal hai…kya agar koi Na baaligh ladka ya ladki intiqaal kar jaaye to us k liye dahoom ,chahlum wa ghaira karna nahi hai ?
Baaz logo ne ye kaha hai k Na baaligh k liye 7 din hi hai
(Ek Islami Bahen)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah wa Barakatuhu.
Agar Na Baligh ladki ya ladke ka inteqal hojaye to unk Sawab e Jariyah keliye Dahum(10we Din Baad ghareebo ko khana khilana) ya Chalum(40 we din ghareebo ko khana khilana) Zaroori Nahi hai,Kyu ke Tafaseer ki kutub me aya hai,ke Jo Ladka ya Ladki Na Baligh umer me inteqal kar jate hai,Unko *JANNATIYO KA KHADIM BANAYA JATA HAI*
(Tafsse e Nasafi,Vol/4,Sureh Waqiyah),
Yani Allah un Bacho ki Maghfirat farmata hai.
Haan,Agar Qalbi itminan keliye Kuch Maal Sadqah karna ho to karsakte hai,kyu ke us Sadqeh ka sawab bhi milega.Insha Allah.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com

You might also like