CIGARATE SMOKE KARNE KE BAAD NAMAZ ME SHAREEK HONA..?

Sawal :Assalamualaykum mufti sahab kaise hai aap mera sawal ye hai
Kuch log cigarate pitey hi Namaz pad ne chale jare aye kayesa hai
Kyunki ham log agar cigrate ki boo ayi to bardast nai karsakte phir ye kaisa hai
(Mohammed Waseem),
Jawab :Walaikumassalam wa rahmatullah,
Jo Shaks Cigarate pee(smoke) kar Baghair Mooh(Mouth) Saaf kiye Yani Wazu Kiye Baghair Namaz me Shareek hojaye to aysa Shareek Hona Makrooh hai,kyu ke uski Boo(Smell) se kayi Musalliyo ko Takleef hoti hai,jaisa ke Piyaz ya Lahsan Khane baad masjid me Aana Makrooh hai,unki Boo se Rahmath ke Farishto aur Musalliyo ko Takleef hoti hai,aur Rahmath ke Farishteh door hote hain,isi tarah Cigerate ka bhi Hukm hoga.
(Sahi Muslim,Vol/1),
Note :Ab Cigarate Peene(smoking) ke Bare me Baaz Ulama e Kiram Haram kahe hai,Baaz Makrooh e Tahreemi bhi kahe hain,wazeh Rahe ke Cigerat ke Peene se Agarcheh Wazu Nahi toot ta hai,magar Dobarah Wazu karna Ziyadah Behter hai,Kyu ke Namaz me Allah ke saamne Hazir hone ja rahe hai,to Adab ka Bhi Taqaza wazu banana hai.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like