DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 437,Hadees No :2104,

 

Hazrat Samurah Bin Jundub
(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Kisi Insaan ko Allah ki Lanat,Allah ke Ghazab aur Jahannam se Lanat Mat bhejo.
(Vol/2,H,No :2104),
Dars :Kyu ke Rahman wa Raheem Allah Apne Bando per Har Lamha Rahmat Nazil karta hai,aur uski Nazre Rahmat Hamesho Bando per Hoti hai,koi Gunah ka Irtekab bhi kare to Usko Taubah ki Mohlat dekar Raham ka Moamlah farmata hai,aur 70 Mavo se Ziyadah Raham farmata hai,to Uske Naam se Lanat aur Ghazab ke Kalimeh doosro ko kahna uske Sifat ke Na Muvafaq hote hai,
Lehaza Hamesha khud keliye aur Doosro ke liye Allah ki Rahmat wa Fazl ki taufeeq ki dua karni chahiye..
●● Kisi Ko Lanat Bhejne se Bachna ho to Us Ghazab ke Lamho me bhi aur Saari Zindagi Nabi e Akram Rahmatul Lil Aalameen
(Sallallahualihiwasallam) ki Seerat ko Saamne rakhe to Kaafi hai,Bandah Be Jah Lanat se Mahfooz hojayega aur Apni Zindagi khush Haali me Guzardega.
Allah hame Apas me Raham karne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like