NIKAH KE PAHLE DIN (RAAT) KE AADAB

Nikah Ambiya e Kiram (عليهم السلام)ki Sunnat hai,Jo Zindagi me Barkat,Ghar me Rahmath aur Nazar ki Hifazat ka Zariyah hota hai,is ki taraf Tarjeeh dene keliye Nabi e Akram صلى الله عليه وسلم ne farmaya :

النكاح من سنتي فمن رغب عن سنتي فليس مني

(Jamiut Tirmizi, Vol/1)

Tarjumaj: Nikah meri Sunnat hai,Jo us Sunnat se Mooh pherega Wo Mujh se Nahi.

Nikah ke Bohat se Aadab hain,un me Chand ye ke Nikah ka Har Kaam Saaf Dil aur Sabr wo Tahammul se kiya jaye

DULHA AUR DULHAN KELIYE PAHLE RAAT KE ADAAB :

JAB DULHA AUR DULHAN APNE KAMREH(ROOM) ME DAKHIL HO TO SALAM KAH KAR DAKHIL HO AUR WAZUU KARKE 2 RAKAAT NAFIL NAMAZ ADA KARE DULHA AAGE KHADA HO AUR DULHAN PEECHE KHADE HOKAR 2 RAKAAT SHUKRANAH KI NAMAZ ADA TANHA TANHA (JAMAAT SE NAHI) KARE

NAMAZ KE BAAD YE DUA PADHE :

 

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ خَيْرَهَا وَخَيْرَ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْهِ ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّهَا وَشَرِّ مَا جَبَلْتَهَا عَلَيْهِ

(Sunane Abu Dawood,Kitabun Nikah,Hadees No : 2160)

Tarjuma:

Aye  allah!  Mai is aurat ki khair o bhalai ka or khair aapne usme rakhi he or jis chiz par aap ne use paida farmaya he un sab ko maangta hu or aurat k sharr se or jo sharr or burai usme rakhi he or jis par aap ne usko paida kiya he usse aapki panah mangta hu.

♡ Phir DALHA AUR DULHAN MUNASIB JAGAH(BED) PER BAITH JAYE AUR KUCH GUFTUGU KARE AUR KUCH DULHAN KO TOHFAH(GIFT) DE PHIR USKE DULHA DULHAN KE SAR(PESHANI KE UPER BAALO) PER HAATH RAKH KAR YE DUA PADHE :

باسم الله اللهم جنبنا الشيطان وجنب الشيطان ما رزقتنا

BISMILLAHI ALLHUMMA JANNIBNA ASH SHAITAN WA JANNIBISH SHAITANA MA RAZAQTANA.    (SAHI MUSLIM)

Phir uske Baad Izdivaji Umoor ko Anjaam de Allah Khair wo Barkat ata kare..

 

WRITTEN BY:

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(Founder TANZEEM ANWAARULISLAM,& ARABIC SCHOOL ANWAARULISLAM LIL BANAT Tayyab Nagar, Mahbubnagar, TELANGANA).

 

You might also like