DARSE JAMIUT TIRMIZI

DAY :860, HADEES NO : 2801

Hazrat Sayyiduna Jabir (raziallahu) se rivayat hai,kaha : RASOOLULLAH ﷺ NE FARMAYA: Kalimah Padhne walo me se Baaz logo ko Jahannam me Azab Diya jayega to Azab ki wajah se Koila hojayenge yaha tak Allah ki Rahmat un per Cha jayegi to unko Jahannam se Nikala jayega aur unhe Jannat ke Darwazeh ki Saamne Daal diya jayega,to Jannati Log unhe Dekh kar Unper Paane Chidak denge to Wo Sailab ke Laye huve Kachre per ugne wali Ghaans(grass) ko tarah Taro Taaza hojayenge phir unhe Jannat me Dakhil kiya jayega.

(Jamiut Tirmizi,vol/2,Hadees No:2801),

Dars : Dunya me Bohat se Log Kalimah padh kar bhi Kamil Nahi hote hai,uske liye Bandeh ko Apne Aamal ke saath saath Aqeedeh ko bhi Durust karlena chahiye warna Bohat se Log Aamal ke Ba wajood Sahi Aqeedah Na rakhne wajah se Jahannam me daal diye jate hai,Phir unko waha Azab diya jata hai,lehaza Hame chahiye ke AHLE SUNNAT WAL JAMAAT ke Jo Aqaayid hain,unhe Sahi wa Jayyid Ulama e kiram ki paas seekhe phir un per Amal kare to khair hi khair hogi,

■ Allah Bandeh ko kitni bhi Saza kyu Na de lekin Allah to 70 Maavo se ziyadah Bando per Shafaqqat wa Rahmat karta hai,isi wajah se wo Kayi Jahannamiyo ko Apni Rahmat ke Saaye me Rakh kar Abadi Jannat me Dakhil kardeta hai.

Allah Hame Jahannam se Bachaye aur Jannatul firdous me Hame jagah Naseeb kare..Ameen.

 

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

WRITTEN BY :-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, T.S).

You might also like