DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : QIYAMAT KE SIFAAT, DAY : 730,Hadees No :2628,*

Hazrat Auf Bin Malik Ashjayi (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram (Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mere Rab ke Paas se Ek Aane wale ne Aakr kaha ke :Allah ne aapko 2 Cheezo me se kisi Ek Ko Ikhtiyar karne ka Hukm Diya hai,
1) Aap Apni Aadhi Ummat Ko Jannat me Dakhil karlo
2) Ummat ki Shafa’at 
To Aapne Farmaya : Maine Ummat ki Shafa’at ko ikhtiyar karliya,aur Ye Har us shaks ko Naseeb hogi,Jo Is Haal me inteqal kare ke Wo Allah ke Saath Kisi ko Shareek Na kare.
(Vol/2,Hadees No :2628),
Dars : Subhan Allah..
Qurban jaye Aaqa ke is intekhab per ke Aapko Aadhi hi Nahi Balke Saari Ummat ko Jannat me Dakhil karne keliye aapne Ummat ki Shafa’at ko ikhtiyar farmaya,
Ab Hum Ummatiyo ko Sirf Zubani hi Nahi Balke Sunnato per Chal kar Amali Mohabbat ka bhi Suboot dena hoga taake ye Dunya aur Akhirat me Haqeeqi Mohabbat ki Shahadat ws Gawah ban sake,
■■ Jo Allah ki Banaye huvi Makhlooq ko Nawuzu Billah Allah jaisa kahna ya uski Sifat ko Doosro me Shamil karna Shirk kahlata hai,
Haan,Allah ke Nek Bando yani Awliya e Kiram ki Tazeem wa Azmat Shirk Nahi kahlati hai,jo aaj kal Log isko bhi Shirk kah rahe hai,wo Sahi Nahi hai,
Allah Hame Bhi Shafa’at Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like